Mera Kaam toh Yatriyon ka dhyaan rkhna hai

Raahon main chalte hue kitne hi anjaan logon se takrate hai or unme se kuch khass log hamesha ke liye yaad reh jaate hai, chahe aap unse fir kabhi mile bhi na, chahe vo aapko kabhi notice bhi na kre. Or vajah bhot saari ho skti hai, ek dil pr chaap chord jaane vali muskan, ek bhayanak ya sundar chehra, ek koi aisi baat jo aap baar baar dohrao, ya koi ek funny incident.

Aisa hi kissa kuch mere saath bhi hua, vaise kisse kaahaniya toh bhot hai, kuch kahani hai ya dimaaag ka bharam ye bhi nhi pta kyunki vo hai hi inti lambi, behrahal kuch aisa hua ki Uttarakhand ki meethi meethi thand main, subah subah safar ke samay kuch vadiyon ko apne phone main samaya ja rha tha. Gaadi ki raftaar dheemi thi kyunki road ki halat itni achi nhi thi or abhi toh bhor ka samay hi tha toh ham vaadiyon ko niharte bhi ja rhe the.

Thodi der baad traffic jyada ho gya or gaadi laghbhag khadi hi ho gyi or main window se nazaro ka luft utha rha tha or saath hi saath unko apne phone main jma bhi krta ja rha tha, or un sbke beech ek aadmi mere frame ke beecho beecho se aise cigerete pita hua gya ki pta hi nhi chla kab vo gaadi ke barabar main aaya or kab nikal gya. Shayad mera dhyaan gaadi main chal rhe kuch sangeet, or baatchit pr jyada hi tha.

Lekin us samay maine itna dhyaan nhi diya, vo aadmi jitni tezi se aaya tha utni hi tezi se gayab bhi ho gya, kahin vo neeche khaai main toh nhi gir gya? ya kisi bhaalu ne use neeche khelch liya? Ye sb bakwas ke question mun main aane se phle hi vo mujhe dikh gya. Neeche Baitha hua tha apne jooto main lagi mitti saaf kr rha tha shayad (?).

Agle 2 ghanta or hamne gaadi main safar kiya or jaise hi ham gaadi se nikle mere saamne yhi chehra dobara dikha. Is baar meri nind puri khul chuki thi or main Kahin or distracted bhi nhi tha. "Kya ye vhi chehra hai?" Maine apne aap se pucha or jawab toh meri aankhe khud hi de rhi thi. Ye toh vhi chehra tha, lekin ye yahan hamse phle kaise aaya? Hamne toh isse piche chord diya tha? Iss bar main photo nhi le rha tha. Maine isse ek coincidence samajh kr jaane diya. Ho skta hai ki vo hamare piche wali gaadi main ho or traffic ke chalte neeche utar gya ho. "Haan yhi lagta hai", maine apne aap ko samjhakr kha.

"Lekin uske pass toh ek kutta bhi tha?" Kutta!? Haan, meri nind jaise fir se khuli, jab maine usko neeche baith kr jhooto ko thk krte dekha toh uske haath main ek patta tha or ek kutta bhi. Pta nhi kyun main itni jruri detail kaise bhool gya.

"Lekin ye kaise ho sakta hai? Kya vo kutte ke saath in pahado main ghoomne aaya hai?" mera mun ab mere ko seedhe seedhe murk keh rha tha. Toh doosra khaya aaya ki nhi, ye koi or insaan hi hai.

Fir maine turant apna phone Nikala or photo dobara dekha. "Ji haan, ye toh yhi banda hai!", main apne mun main chilaya.

Ab main apne phone main or dhyaan se lga ki ye cigerate wale uncle fir se gayab ho gye, iss baar idhar udhar nazar dodakar bhi nhi dikhe. Vhi cigerete hoto ke beech dabaye hue do bar mere saamne aa chuke he, kya ye koi sanket hai? Kya devbhoomi Uttarakhand mujhse kuch sanketo main baat krna cha rhi hai ya ye sab bs motion sickness or mere dimaag ka veham? Iss samay mera dimaag ghoom chuka tha.

Maine ek dost se ye baatein batayi toh usne has kr taal diya ki tune kissi or ko dekha hoga. Toh main bhi fir se doubt main aa gya or maine is pure maamle ko bhool jaana hi thk smjha.

Hamne 2 dino tak alag alag jageho ko dekha or kuch road pr bhi yatra krne ko mila. Hum Kedarnath ki muskil yatra ke baad neeche utar rhe the or hamara group thoda divide ho gya tha kuch log aage chal rhe the or kuch mere peeche. Main thoda ruko ek dukan pr paani peene ke liye. Mere saath chalne waale dost mujhe nhi dikhai diya, shayad vo piche mod pr hi ruk gya. Issi samay mujhe ek ghode wale ne awaaj di "Bhaisaab Ghoda chahiye?" Ye toh kaafi normal tha uss trek pr lekin jab main usko mna krne ke liye mud kr dekha toh dekhta hi reh gya.

Ye toh vhi cigerete wala banda tha! lekin iss baar iske haath main jo patta tha use usne ek ghode ki lagam ko pakad rkha tha. Mere pairo ke neeche se jaise zameen nikal gyi. "Tum mera picha kyun kr rhe ho", mere muh se yhi nikla. Or usne muskura kar kha ki "Main kahan aapka picha kr rha hu? mera kaam toh sab yatriyon ka dhyaan rkhna hai."

Maine jeb se phone nikalne ke liye haath badhaya or phone main photos check kri. Lekin jab maine usko vo photo dikhane ke liye dobara dekhna chaha toh vo vhana nhi tha.

"Mera Kaam toh Yatriyon ka dhyaan rkhna hi hai"




0
0
0.000
8 comments
avatar

@fun.pravesh, Pravesh Bhai, in very simple words, you have described your experience very beautifully. Yes, this can happen; it has happened to many people

0
0
0.000
avatar

Main iss kahani ki pushti nhi kr skta.

0
0
0.000
avatar

Nahi nahi bhai ,aisa nai hai, mera matlab ye nahi hai ,bhai pushti karna chahiye ,ye sabhi logoke sath nahi hota ,kuch khas logo ke sathhi hota hai .Jaise aap ke sath huaa

0
0
0.000
avatar

Congratulations @fun.pravesh0! You received a personal badge!

You powered-up at least 10 HIVE on Hive Power Up Day!
Wait until the end of Power Up Day to find out the size of your Power-Bee.
May the Hive Power be with you!

You can view your badges on your board and compare yourself to others in the Ranking

Check out our last posts:

Hive Power Up Month Challenge - November 2023 Winners List
Be ready for the December edition of the Hive Power Up Month!
Hive Power Up Day - December 1st 2023
0
0
0.000